Thursday, August 25, 2005

"main ruk nahin sakta"

koi chaahe kuchh bhee kahe maine soch liya thaa ki mujhe life mein kuch karke hi dikhana hoga... aur yeh chaahat hi bani karan har cheej kaa...jaane kahan se woh achanak ek din humari zindagi mein aa gaya ...aur bina jyaada ho halle ke woh hum mein se ek ban chuka thaa ...sahyad ise hi bhagya kehte hai jiska likha naa koi jaan paaya hai naa jan paayega ..kitne khush the hum sabhee aisa lag raha thaa zinagi ki ghadi keval basant pe aake ruk gayee hai charo taraf keval phool hi phool khile huye hain mausam kabhee itna khushgavar naa thaa humne saath hi apna pehla show bhee kiya uske aane se pehle hum laakh koshisho ke bad bhee kuchh kar nahin paa rahe the aur uske aate hi sab ekdum se badal gaya har patta usi ke charo taraf ghumne laga , hum log neev rakh chuke the "pratayansha" kee . ek ke baad ek aisa lag raha thaa jaise bus ab taare hi rah gaye hain chhune ke liye ...lekin taare itne pass nahin unko chhuna bhee aasan nahin ..aur sapne woh to jaise apne hote hi nahin kabhee nahin ..ek jhatke mein sab bikhar gaya indian idol ki aandhi hamare chhote se group ko ek hi jhatke mein apne saath baha le gayee , woh jaise hamre beech aaya tha usse bhee shant tarike se woh nikal gaya ... ... aaj woh ek bada singer banne wala thaa har kisi ko juban par bus ek hi naam thaa "ravi kumar" uski pehli hi album itni badi hit huyee ki bhartiya music industry ka saara itihaas hi badal gaya ..yehi sapna humne bhee dekha thaa lekin 'pratyansha' ke saath par woh , woh sab kuchh paa rahaa thaa jo humne socha thaa ....l' pagal hi nahin karte pyar' sab gunguna rahe the ...lekin kamee thee to bus 'pratyansha' ki ..kahin door gumnaami ke andhere mein hum charo abhee bhee pratyansha kp jeevit rakhne ki kosish mein lage the lekin suraj ko yeh manjoor naa thaa usne IBM join kar li , mayank bhee jyaada din nahin ruk saka aur apne gaaon chala gaya ...rah gaye to bus main aur sanjeev . lekin bhagwan hain , aur humein pehchan mili ravi ke dosto ke roop mein , jaise hi logo ko pata chala hum ravi ke saath the unhe 'woh baithee munder pe ' tak achchha lagne laga ... kuchh naye ladko ke saath humne apna safar phir shuru kiya ....ek pehchan ke saath " singer ravi kumar ke dost " ravi ne humein movies mein bhee kaam dilaya .... pehchan ki gaadi humein apne saath mumbai le gayee yaha borivali mein maine aur sanjeev ne ek flat le liya aur ek car bhee , kuchh dino mein sanjeev ki shaadi ek baar phir hum sub ko ek saath le aayi ek hi pandaal ke neeche , humne milkar bahut dino baad .. " yeh zindagi in raat ki galiyo mein " bhee saath gaya .. sab kuchh kitna haseen lag raha thaa ...jaise phir wahi basant laut aaya ho ..ravi ka jaadu sabhee ke sir chadh ke bola ...sanjeev ki shadi ..hum sabhee ke liye sirf naye bhabhee nahin "ravi's-ranch" bhee leke aayee ...aur dekhte hi dekhte teen suprhit albums , har music channel pe sirf ek hi naam thaa ravi's-ranch MTV award ki party mein mayank aur suraj bhee aaye , hum sabhee chahte the ki woh bhee "ravi's-ranch" ko join karein lekin ravi koi risk nahin lena chahta thaa ...aur phir hona kya thaa woh dono wapis laut gaye lekin ,shayad ravi's-ranch ke liye yahi sahi bhee tha lekin "pratayansha" ke liye nahin ...woh mara hua jinn phir botal se bahar aa gaya aur main mayank aur suraj ko lekar phir nikal pada pratyansha ki khoj mein ...hum phir se yaad kar sakte the woh dilli ke dhakke lekin tab sanjeev bhee thaa ...lekin in gujre huye saalo ne hum sub mein kuchh atirikt daal diya thaa aur humein iska poorn aabhaas thaa ....isi beech ravi's-ranck ka ek aur superhit album aa gayaa ... par is baar cover par sanjeev ki photo dekh humein kuchh samajh mein nahin aaya khair humein apne struggle ke duar mein ek aur high profile party mein jaane ka bhee mauka mila ..humne prataynsha ke liye jaan laga di , lekin har kisi ne sirf yahi poochha ..ravis-ranch vaapis kub join kar raheho ...kya jawab deta mein ..pata nahin .. poore do saal ...teen albums .. aur koi response nahin, koi major distributor nahin ...phir wahi tootan wahi ghutan saamne baahein failaaye khadi thee ...aur maine bhee daman thaam liya thaa is haar kaa ..meri jeevan sangini ban chuki thee yeh haar lekin ...nahin marne diya to bus "pratyansha" ko aankhon mein safalta ki aasha liye suraj ne is duniya ko alvida kah diya ...log kahte hai drugs over dose thee ... main aur mayank vaapis laut gaye ravi's-ranch mein , mayank ko bhee aankhir pata chal hi gaya safata kya hoti hai 15 saalo mein pehla hit album , ....kyun hota hai yeh har baar , aankhir kya jaadu hai isme , kahan kami rah gayee meri saadhna mein , kyun har baar muje sahara lena padta hai aankhir kyun ..kaise bhool saktaa hoon mein woh din 12 april 2014 ..."sunhari yaadein " ki release party ... har koi is nayee hone wali hit ki khushi mein saari duniya se sharab khatam karne pe tula hua thaa ...mayak shayad pehli baar itne saare logo ko autograh de raaha thaa ...sanjeev ki aankhon mein ek ajeeb si santushti thee .... aur phir ravi ne yeh album dedicate kar di suraj ko .. laga jaise hum sabhee phir saath aa gaye hai ... mujhe kitne saaf yaad hain woh shabd ..."hum paanch dosto ne zindagi ka safar ek saath shuru kiya ..pratyansha ke saath" pratyansha sunye hi main vaapis kho chuka thaa usi purane ateet mein sabhee achanak mujhe dekh hasne lage ...mujhe beech mein gira kai logo ne mere upar thuka , to kuchh failure failure chillane lage ...main unhe har woh hit gaana baat raha thaa jo ravis-ranch ka superhit thaa lekin woh log nahin ruke aur main jaa pahuncha stage pe , pata nahin kahanse mere haath mein mike aa gaya ..charo taraf dhol bajne lage , saamne pade guiotar aage badh khud hi taaro se khele lage ... shabd mere hoonton ko chhodne ko betab ho uthe main nahin jaanta thaa main kya kar raha hoon ...mere hothon ke hilne se kuchh shabd bahar aa rahe the ''''
"kaash jeevan swapan hota ,,
yaa mera swapan jeevan hota ,
kuchh nahin to jeevan sach hota,
...tabhee paat nahin kahan se mere kaam ruk gaye ek surili arthpurn aawaz par "jeevan ko khel naa samajhna , yeh jeevan to bus chalta jaata hai...."
ravi hi ki aawaz thee woh , aur tabhee wahan khade har aadmi ne ravi ke saath gaana shuru kar diya lights man smajhdar thaa ... main apme andhero main laut chuka thaa , lekin woh din kuchh alag thaa , kamre ki deeware mujhe dhakka dene lagi , aur pata nahin kub maine paas rakhe doosre mike ka ek aur prayog dhoondh nikaala , wahan charo taraf sirf khoon thaa aur main us talab ke bilkul beech mein khada thaa ... ek dum vichar shoonya ....mere hoonth ek baar phir hile ....kaash jeevan swapan hota ...
...yaa mera swapan jeevan hota ...
kuchh nahin to jeevan sach hota ...
par kuchh to hota jispar vishwas kar sakta ......
mujhe rokne waala koi nahin thaa... main shayad ab duniyaa mian sabse aage aa chuka thaa mujhse aage koi naa thaa ....
ravis-ranch ki aankhiri yaad "sunhari yaadein" aaj bhee sabse badi hit maani jaati hai..

aaj mere saath wale cell mein naya qaidi aaya hai ..usne aate hi mayank.sanjeev ki "ravi ki yaadein --vol 5 " laga diya ...to sab ekdum se taaja ho gaya ...lekin yahab jail mein maine apna saamy bekar nahin kiya hai ...yahan hum paanch logo ne " pratyansha " ko naya jeevan dene ki koshish ki hai bahar nikalte hi hum " jeevan kaa safar release karenge" ..


maana taare bahut door sahi ,
lekin mujhe bhee hai yakin,
ek din paa hi lunga main ,
woh sab jo socha thaa.

deepak verma

9 comments:

zxcv said...

buddhe tu itna heavy dose kyu deta hai bhai, samajhne main fight ho jaatahai, saale yeh pratyansha kya hoti hai + mike ka dusra use kya tha? tune apne g*** mein le liya kya ki wahan khun ki talab wahan ho gayi, vaseline laga kar karna tha na dost

Deepak Verma said...

dost pratyansha hoti hai sambhawna ..odds in favour of smthing andn mike is used to kill him i thought that will be obvious...

zxcv said...

dost saara dimag tere blog ko samajhne me laga diya tha, kuch bacha hi nahi tha jab end tak pahucha, iss liye mistake ho gaya.

just kiddin tu load kyu le raha hai bhai, it was v obvious wat the mike was used for

Suvro Sarkar said...

cud we have an angrezi translation of this post...arnav perhaps help out dude...this is too tough for me:(
p.s. budhhe u have allowed only bloggers to post comments on ur blogsite, itna kya studapa?

Deepak Verma said...

dost i dont know nething...abt how to make it public ..perhaps you can show me the light ....
and arnav main load nahin leta as you know balki mujhe to had se jyada khushi huyee thee ki chalo kisi ne to poora padha ,,,believe me you are the only one ..thanx dude for reading that heavy stuff..next time it will be easy...

zxcv said...

buddhe heres how u go abt it

go to ur dashboard
click on change settings
click on comments
make the required changes

kriti said...

hey buddha

tera poora blog padha... bahut fight kiya samajh ne me.... sorry... zxcv ka comments thoda help kiya but aur bahut help chahiye hogi... :) probably mujhe tere sochne ke level mein pahuchne time lagegi

Deepak Verma said...

@ kriti abe sochne ka level kuchh nahin hai ..yeh wala sahi mein bhee kuchh jyada hi confusing ho gaya hai even i had problem in understanding it ..

Anonymous said...

[url=http://kfarbair.com][img]http://www.kfarbair.com/_images/_photos/photo_big8.jpg[/img][/url]

מלון [url=http://www.kfarbair.com]כפר בעיר[/url] - אווירה כפרית, [url=http://www.kfarbair.com/about.html]חדרים[/url] מרווחים, שירות חדרים, אינטימיות, שלווה, [url=http://kfarbair.com/services.html]שקט[/url] . אנו מספקים שירותי אירוח מיוחדים גם ישנו במקום שירות חדרים הכולל [url=http://www.kfarbair.com/eng/index.html]אחרוחות רומנטיות[/url] במחירים מפתיעים אשר מוגשות ישירות לחדרכם!

לפרטים אנא גשו לאתרנו - [url=http://kfarbair.com]כפר בעיר[/url] [url=http://www.kfarbair.com/contact.html][img]http://www.kfarbair.com/_images/apixel.gif[/img][/url]